sirf tumhare liye...
8 April
8 April 2025...
shayad raat ke 12 baje ke aas paas
sab kuch ek normal din ki tarah hi start hua tha
kuch special nahi...
kuch plan bhi nahi tha
bas baat ho rahi thi...
kuch khas bhi nahi...
par pata nahi kyun,
main un baaton ka wait karne laga tha
cheezain tab bhi thi...
maine apne tareeke se kaafi kuch keh diya tha
shayad directly nahi...
par tha sab
shayad tum soch rahi hogi...
ye sab itna serious kaise ho gaya
kab normal baatein... important ho gayi
kab baat karna zaroori ho gaya
kab ek dusre ki aadat si ho gayi
pata hi nahi chala
phir uss raat...
tumne bhi keh diya
aur pata nahi kyun...
uske baad sab alag lagne laga
uss raat... shayad 12 baje
random late night baatein
chhoti chhoti baatein jinka koi matlab nahi hota tha
stupid jokes jo sirf hume samajh aate the
baar baar phone check karna... sirf tumhare liye
mujhe abhi bhi yaad hai wo moment... maine apne tareeke se pehle hi keh diya tha par tumse sunna... usse real bana diya
maine kabhi plan nahi kiya tha...
par dheere dheere...
tum wo ban gayi
jiski main shayad jitna hona chahiye usse zyada care karta hoon
mujhe lagta tha baatein hi important hoti hain...
par tumse baat karke samajh aaya...
har baar kuch kehna zaroori nahi hota
kabhi kabhi bas
baat chalti rehna hi kaafi hota hai
aur shayad...
mujhe wahi accha lagta hai
happy anniversary
1 saal ho gaya...
itni saari fights itne saare moments aur phir bhi...
hum abhi bhi saath hain
aur shayad wahi sabse important hai
1 saal
365 din
aur pata nahi kaise...
abhi bhi sab naya sa lagta hai
accha lagta hai... ki tum ho
abhi to bas shuru kiya hai...
kab shuru hua... pata nahi kab tum itni important ho gayi ye bhi samajh nahi aaya bas itna pata hai... ab aadat si ho gayi hai tumhari main perfect nahi hoon kabhi galat samajhunga kabhi late samajhunga par ek cheez nahi badlegi... tum important ho aur rahogi baaki sab... hum dekh lenge
tap anywhere to close